Wednesday, 10 April 2013

Make Your Own Blog. Full Detail In URDU

P1
ajj main apko Blogger pr simple site bnana sikhat hoon. blog bnana sb sy easy kaam hai. aur jisko  blog bnanana bhi na ata. samjain usy kuch nahin ata.blog bnany ke boaht sy faidy hain. sb sy iham hum sharing kar skty hain. article likh skty hain. news update share kar skty hain

P2
kuch logo ny jobs updates kelye blogs sites bnaye hain jahan woh daily jobs ke updates daity hain, kuch dosto ny Study ky topics pr blogs bnain han, jahan woh study ky bary main guide karty hain. notes update karty hain, kuch dost softwares, games, urdu books, ke sharing kelye blogs bnaty hain

p3
blog kia hai? blog aik choti se site hote hai. jis kelye na hamin web programing shikny ke zaroorat hoti hai, na web Designer bnny ke zaroorat hoti hai. sirf apko internet use karna ata hoo aur thori se common sense ho. ;)

P4
blog bnany keleye sb sy pehly app www.blogger.com pr jain. agar apke Gmail ke id bne hai tu wahan Gmail ke id sy login ho jain. agar gmail ke id nahin hai tu phr yahoo ya hotmail ke id sy apko ragister hona pary ga. login hony ke baad apky pass aik page aye ga. jahan create a blog likha nazar aye ga. uspr click karin

p5
create a blog pr click karny pr next page pr ap sy apky blog ka Title name pocha jai ga. ky app apny blog ka Title ya name kia rkhna chahty hain. 2nd box main ap apny blog ka web address dain gain jo ap apni blog keley chahty hain. for example main apny blog ka naam ITsupers rkhna chahta hoon

P6
tu main apna web adress aisa bnaon ga. www.itsupers.blogspot.com. web address ky
neachay Check Availability pr click karky
chaeck karin ky kia yeh adress already kisi
nay bnaia tunahin hai? agar pehle sy kisi
ny bnaia hai tu phr apko koi aur name
choice karna pary ga.

p7
next Word Verification main apko jo word
dia hoga same wahi word type karin aur
countinue pr click kardain. next page pr
woh app sy pochy ga ke app apni site ka
design kaisa rkhna chahty hain. woh apko
kuch design select karny keley dai ga. jo
apko acha lagy woh seleck karin aur continue
kar dain.

P8
ab last page aye ga, jis pr likha hoga Your blog has been created!.
apka blog bn chuka hai. start blogging pr clik karin.tu apky saamny blogger ka control panel ajai ga jahan sy app apny blog ko control kar skty hain. sb sy pehla jo page aye ga usmain app ny posting karni hai. app jo bhi posting karin gai woh apky blog ky frontpage pr show hoga

P9
posting ke Title main apni post ka main title ya heading likhen. Editor box main app apna article, posting ya sharing jo ap karna chaty hain type kardian. labels main app posting ka topics ya categories type karin. iss sy visiter ko topic search karny main asani rehti hai aur last publish kardain

P10
ap ke posting main page pr show ho jai ge. view blog pr click karky apny blog ky front page par ain. yahan apki posting show ho rahe ho ge.

P11
Ab hum bloger ke control panel main sb sy pehly posting ke option ky bary main jany gain. posting main 3 Tabs hain, new Post, Edit Post, Edit Page, new post main hum site pr jo bhi posting karna chahty hain woh type karin gain, Posting ka Editor Box 2 Type ka hai aik compuse 2nd Edit HTML, Compose main Simple Ms Word jaise options hain. jis main app Text Ka Font, Text Size, Color, kar skty hain

P12
Image aur videos ke option sy app picture aur videos apni site pr apny PC sy online share kar skty hain. Edit HTML main agar hamin HTML language ati hai tu hum HTML sy kafi kuch apni sites pr share kar skty hain. Normaly iske zaroorat nahin parti. likin agar app advanse work karna chahty hain tu app HTML sikh lain. HTML main app, TV Channels, Chatrooms,SMS Sending ke coding add kar skty hain

P13
Yeh Coding hamin internet sy searching karky easly mil jai ge.
Just unhain copy karna hai Editor Box main Edit HTML pr Click krky Editor Box main paste kar dain hai. next app jo bhi posting karin gain tu jb tk app usy publish nahin karin gain tb tk woh psot blog pr show nahin hoge.agar app posting ko publish nahin karna chaty tu usy save kar dain

P14
Save karny sy app isy next time Edit Post ke option sy again publish kar skty hain. save now pr Preview ke option hai. jis sy app apni post ko publish kye baghair uska Preview check kar skty hain. Label ky box main app apni posting ke categories Type kar skty hain jo for example agar main koi game share karon tu label main Game likhon ga, koi software share karon ga tu label main software likhon ga

P15
Agar main categories ziada add karna chahon tu woh bhi add kar skta hoon, for example main ny aik software share kia tuneup utilities jo window ke modification aur maintains kelye use hota hai ab main isy 2 categories main add karna chaon ga tu (software, Windows Software) ke Categories bnaon ga,is tara mere blog ke visitors ko categories sy software waly page pr jany main asani hoge

P16
new post ky bad Edit Post ki option ati ha. Edit post main hum apni koi bhi publish ke hoe aur save ke hoe file ko edit kar skty hain. edit psot ke bad edit main main hum apy blog main new page add kar skty hain. jaisy contact me, about me, chat room page etc, posting ke baad top tab main comments ki option ati hai. comments main hum visiters ke comments ko  delete karsky hain

P17
blog ky control panel main comments ki option ky baad next setting ke option ati hai. setting main 1st tab basic setting ka hai.sb sy pehly basic tool ata hai. basic tool main hum 3 kaam kar skty hain. export blog sy hum apny blog ke sari posting downlaod kar skty hain. app isy blog ka backup bhi keh skty hain.aur yeh backup wali file hum apny dosto ko ya apny kisi dosry blog pr import bhi kar skty hain

P18
Export sy blog ki posting aik he file main downlaod ho gee aur import ke option sy hum kisi dosry blog pr bi upload kar skty hain. inky sath delete ke option hai delete sy hum apny blog ko permanent delete kar skty hain. blog tools ky baad Title ke option hoti hai, yahan hum apne site ke Title ko change aur modify kar skty hain. next Description main hum site ke Description likhin gian.

P19
Yeh Description Title ke nechay aye ge.next option "Add your blog to our listings? " hai jis main app agar yes karin gain tu apka blog, blogger ky blogs site list main add ho jai ga. aur wahan sy bhi apky blog pr visitors ain gain. blog list main shamil blogs ko chek karny keleye blog ky top pr apko next blog ki option nazar aye ge.

P20
Next "Let search engines find your blog?" ko yes he rehny dain iss sy apka blog auto google main search ho jaia kary ga. aur visiters google main searching karty hoy apky blog ko bhi visit karin gain. "Show Quick Editing on your Blog?" ko yes rehny dain, kion ky iss sy app apny blog sy bhi apni posting ko edit kar sken gain. "Show Email Post links?" ko yes kar dain iss sy apky visiters apke post ko apny

P21
Apny dosto ko bhi email kar skin gain. aur unky dost bhi apky blog ko visit karin gain. iske ilawa woh isy facebook aur aur twitter pr bhi share kar sken gain."Adult Content?" ko no he rehny dain. nahin tu apki site direct open nahin ho gee. aur app adsense bhi iss main add nahin kar sken gain."Select post editor" main update editor ko he ok rehny dain kion ky yeh best hai.

P22
"Enable transliteration?" sb sy ziada mazy ke cheaz hai. iss option ko enable karny sy app jo posting bhi roman urdu main karin woh auto urdu main type ho jai gee mean app apna blog urdu main bhi bna skty hain. transliteration ke option main urdu ko ok kar dain aur post editor main top right side pr transliteration ky choty sy botton ko ok kardain ap ka text urdu main convert hota jai ga

P23
Basic setting ky baad app Publishing setting main apny blog ka name change kar skty hain. agar app ny Com domain kahin sy purchase kia ho tu app apny blog pr com doamin bhi laga skty hain. jaisy main www.TexTTrickS.blogspot.com ko main www.TexTTrickS.com main change kar skta hoon. likin is kelye mujay com domain purchase karna pary ga. com doamin apko kahin sy bhi  750 Rs. sy above ka mil skte hai

P24
next Formatting Tab main app blog ke date, time ko change kar skty hain. khas kr time zone ke option main GMT +5 Karachi ko select karna na bholin. iss sy apki sari posting ky time ko, Pakistan ky standard time ky mutabiq show kary ga. next comments ky tab sy app site pr mojod comments ki option ko hide, show kar skty hain.inn ke sb options ko by default he rehny dain.

P25 Next Archiving ki option sy app apni posting ko monthly, weekly aur daily wise show kar skty hain.Archiving ky baad Site Feed ke option hai. site main app apni site ki posting via email aur as a RSS news send kar skty hai, app jo bhi posting karin gain woh apky "email subscriber" ko email ho jaya jay gee. likin isky lye app ko FeedBurner.com pr gmail id sy login krna ho ga.aur wahan feed ke setting karna hoge

P26
Next Tab Email & Mobile ka hai. agar app chahty hain ky log apky blog ko mobile sy bhi visit karin tu "Yes. Show mobile template on mobile devices." ko ok kardian. Preview ky botton sy app check bhi kar skty hain ky apki site mobile main kaise show ho ge. "Email Notifications" bhi feed ke jaisy kaam karti hai. yahan app apny un dosto ke email id likh dain. jihain app apni posting via email send karna chaty hain

P27
"Posting Options" sy app email ky through bhi posting kar skty hain.Next "Mobile Devices" sy via SMS, MMS bhi posting kar skty hain. likin yeh facility sirf USA kelye hai. last 2nd Tab "OpenID" ke hai Openid aik account hai jo kisi bhi blog pr comments dainy kelye use hota hai. likin hum isky bjay gmail sy bhi kaam chala skty hain.

P28
Sb sy Last Tab Permissions ka hai.agar hum blog akely nahin chala skty tu apny dosto ko bhi Permissions dai skty hain ky woh apky sath mil kr apky blog ko run karin. isklye hum Add Authors pr click karky apny dost ki email id add karin gain jis ko hum blog pr posting ke Permission daina chaty hain. apky dost ko aik mail aye ge woh usy ok kar dai ga. aur phr woh bhi apky blog pr posting kar sky ga.

5 comments:

  1. Blog sy earning kaisy karty hain plz dear reply krna

    ReplyDelete
  2. Blog sy earning kaisy karty hain plz dear reply krna

    ReplyDelete
  3. Blog sy earning kaisy karty hain plz dear reply krna

    ReplyDelete
  4. check my blog friends and comments plz
    http://powerpakistan1.blogspot.com/

    ReplyDelete