Wednesday, 10 April 2013

Downloading In Urdu

P1 friends aj ka topic hai downloading. Downloading b aik fun hai. Aur yeh fun b net pr ghanto time dai kr bnda sikhta hai. Net pr 3 type ky log hoty hain. Jinhain downloading ka shok hota hai. 1st expert jis


P2
downloading ka yeh differnce searching method ko samajny, na samajny ke waja sy hai.  Agar apko insan ke soch samaj ajai. Ky woh kia sochta hai. Aur downloading krty waqat kia tariqa apnana hai. Tu ap koi b software easly search kr skty hain.


P3
full version jitny b software hoty hain. Woh file hosting sites, rapidshare.com, 4shared.com, hotfile.com, mediafire.com pr upload hoty hain. Mostly new downloader hamisha google main software ka naam likhta hai. Aur sath main aik bari galte krta hai. K word "free" b saath main likh daita hai. Aur usy jo b software milta hai. Woh trial, demo, ya shareware version hota hai. Jitne b top software downloading ke site hain. Unho ny insan ke psychology ko saamny rkha hota hai. Woh janty hain. Ky net main hr 1st person free software search krta hai. Islye net main hamisha unke sites 1st ate hain.




P4
woh apni site main b likhty hain. Free download. Zaahri tor pr tu hamin lagta hai. Ky yeh software free hai. Magar yeh software sirf free main downloadable hota hai, na ky free main useable. Yani site hamin free main software daite hai. Magar hm usy free main use nain kr skty.




P5
full version software ap ko blog sites sy easly mil jaty hain. Magar  blog main software bohat he km hoty hain.kion ky blog ko aik bnda he chalata hai. 2nd number pr forums hain. Forums 3 type ky hoty hain. IT, haking aur warez. Warez woh forum hoty hain. Jo basicaly cracked aur full version software provide krte hain. Best warez forum. Astatalk.com warezwitch.com crackedsofwares.com etc.




P6
3rd numbr pr forum link submiter sites hain. Yeh woh sites hain jahan apko 100, 200 forums ka data aik jaga he mil jata hai. Kisi b software, games, ke ap ko zarorat ho. In sites ke search option main type kren. Woh software apky pas hazir.  www.katz.cd world ke top site the. Jahan sy log software search krty thai. Magar phr yeh site band ho gai. Ab phazedll.com aur www.warez.ag ny inke jaga lai le hai. Mazeed is jaise sites apko allmaza.com ky footer main nazar ain ge.




P7
online file sharing ky 3 method hoty hain. http, ftp, aur P2P yani torrent. HTTP main file sharing sb sy easy aur fast hai. Http ke example file hosting sites hain. Filehosting sites main sb sy top pr rapidshare.com megadownload.com hotfile.com mediafire.com, filesonic.com 4shared.com aur bohat sy sites hain. Jahan log apni files aur data upload krty hain. Likin 1, 2 sites ky ilawa baqi sb sites apny user ky data ko private kr daity hain. Aur hm in sites main koi b file data search nain kr skty.




P8
yeh yaqeeni baat hai. Ky admi filehosting site main jo b upload krta hai jo ziada tr full version software hoty hain.aur isy  Woh kahen na kahen share zaror krta hai. Aur apko yeh b pata hota hai. Ky google sy hr cheaz search ho jate hai. Tu hm us data ko jo rapidshare pr upload hoa hai. Google sy search kren gain. For example hamin adobe cs4 chahye. Tu hm google main search kren gain. Site:rapidshar.com adobe cs4 tu hamary pas bohat se sites ajain gen. Jahan rapidshare ky adobe cs4 ky downloading link hon gain.




P9
ise tara hm dosri filehosting sy b search kr skty hain. My favorite aur best filehosting site mediafire.com hai. Q k is sy data bohat jaldi download ho jata hai. Agar light chale jai. Ya downloading stop kr dain. Tu phr downloading wahen sy star hote hai. Aur aik waqat main ap jitna chahen data download kren. Jb ky rapidshare. Aik waqat main aik he file download krny ke ijazat daita hai. Aur next file kelye apko 15, 20 mint wait krna pary ga. Aur agar 100 mb ke file 99mb pr stop kr de ya light chale gai. Tu phr start sy downloading krne hoge.




P10
google ky ilawa aur b bohat se sites hain. Jo filehosting sites sy direct apko data search krky daite hain. Jaisy Searchsheard.com megadownload.net filestube.com filescrop.com aur sites ko ap rapidshare search engine ky keyword sy search kr skty hain. Data search krny ky bad usy download krna aur b mushkil kam hai. For example hm GTA 4 download krna chahty hain. Aur usky 200, 200 MB ky 50 download link hain. Tu hm tu 3, 4 din, din raat sirf GTA 4 ko download krty rahen gain.




P11
iska best hal yahe hai. Ky ap jdownloader software download kr lain. Jdownloader tamam file hosting sites sy auto downloading krta rehta hai. Just downloading link copy paste krdain. Woh tamam links ko auto download kr ly ga. Aur apko 24 hour pc pr bhet kr aik aik file ko download krny ke zehmat nain krne pary ge. Jdownloader. Apko jdownloader.org sy mily ga.




P12
2nd method ftp hai. Iske speed bohat slow hote hai. Islye na hony ky brabr use hota hai. Ftp main log apny Pc ka koi folder ya drive share kr daity hain. Aur dunya ky kisi b hisy sy b log usky pc sy data copy krlety hain. Ftp ka adress kuch aisa hota hai. Ftp://122.332.54.1 net main agar ap ftp search engine search kren gain tu bohat se site mily gen jo ftp link share kren gen. Ftp ka agar ap direct link open kren gain. Tu apky saamny same pc drive show ho jay ge aur ap ko bohat sy folder nazar ain gain. Ftp kelye best software filezilla aur cute ftp hai.




P13
ftp secure nain hota. Kion ky jis ny apna pc share kia hota hai. Usny apni firewall disable ke hote hai. Jiske waja sy woh hakerz ka target b bn skta hai. Kuch sites ny apni site pr mp3 songs, videos, flash games aur pdf books upload ke hote hain. Agar hm google ke madad sy aik khas technic sy us folder pr direct pohanch jain. Tu hm wahan sy us site ka sara data copy kr skty hain.




P14
google ke is technic ko google index kehty hain. For example. Agar hamin koi khas mp3 audio chahye tu hm google main type kren gain. Index file-name.mp3 ya site:name index mp3. Yeh trick kuch sites pr kam krte hai kuch nain. Isko hm aik choti se haking trick b keh skty hain. Google index ky code ap google main search krlain. Bohat sy code mil jain gain. Mp3 ke jaga ap pdf, swf, wmv b likh skty hain.




P15
next aur last method Peer to Peer connection. Mean pc to pc connection  aur in short word p2p.
P2p ke simple discription torrent hai. Torrent b ftp ke tara hai. Magar ismain pc share ya driver share nain krna parta. Blky just apni aik file ko jo share krna hote hai. Uske aik choti se link file bnai jate hai. Jisko torrent file kaha jata hai. Yeh torrent file hm torrents wali site pr upload kr daity hain. Jahan sy woh file host ho jate hai. Aur dunya ky kisi b hisy sy koi b woh torrent file download krta hai. Aur phr apky pc sy woh file upload aur usky pc main dowonload ho jate hai.




P16
torren ka best software utorrent hai. Torrent ke bohat se sites hain. Jahan sy ap torrent search aur download kr skty hain. Mere favorite torrent site btjunkie.org hai. Torrent file jb b download kren tu usky seed aur peer zaror check karen jo torrent ky sath likhy nazar aty hain. Hamisha wahe torrent download kren jisky seed aur peer 2 sy ziada hon. Seed mean jo torrent upload kren aur software download hony ky bad seeding ya uploding pr lagai ho. Aur peer mean jo download kr raha ho. Agar seeding pr kisi ny b torrent na lagaia ho tu woh software download nain hota.




P17
p2p main torrent ky ilawa aur b bohat sy method shamil hai. In main limeware, emule, usenext, murphus software use hoty hain. In main torrent file use nain hote. Blky apna aik folder share krna hota hai. Jis main software download b hoty hain. Aur upload b. Sb sy fast downloading speed usenext ke hote hai. Magar yeh free nain hai. Ap ko iska trial b tb dia jata hai. Jb apky paypal main 1 dollar km az km ho. Aur phr apko woh kuch GB download krny ke ijazat daity hain.




P18
p2p file sharing pr shorow main pabandi laga de the. Kion ky tamam full version, aur cracked software yahan share hoty thay. Aur software bnany wale companies preshan ho gai the. Magar lahkho net user p2p file sharing he use krty thai. Unky aihtijaj pr p2p file sharing pr pabandi hata de gai.. End
umeed hai ab ap ko koi b software search aur download krny main masla nain aye ga.




Hacking via torrent


Murad: jb hm koi b data torrent sy download krty hain. Tu torrent main show ho jata hai. Ky kis kis country sy kis kis ip sy kon downloading ya uploading kr raha hai.  Agar haker bhaion ka kaam hai. Ky woh is IP ko lekr kia kuch krty hain. Phr agay Ms dos use hote hai. Ya phr kuch haking tools aur usky bad uska pc apky hath main. Lol. Likin aisa km he hota hai. Darny ke baat nain. ;-)


Question-Answer


Q:- Alfa-Killer: toerent kis company ka hai? Or kia koi b torrent bana sakta hai???
A:-Murad: torrent koi b bna skta hai. U torrent download kren aur file ke option sy make a torrent pr click karin. Woh ap sy folder ya file mangy ga. Jis ka torrent bnana chahty hain. Woh folder add kr dain apke torrent file bn gai ge. Ab is file ko kisi b torrent site pr upload kr dain. Aur uska link apny dost ko send kr dain.



No comments:

Post a Comment